ASSALAM ALAIKUM!

JUMME KE DIN KI FAZEELAT KHUTBA - SHEIKH YOUSUF KASURI

JUMMA KE DIN KI HUI EK NEKI KA AJR 70 GUNA BADH KAR MILTA HAI. AUR EK BURAI KA GUNAH BHI 70 GUNAH BADH KAR MILTA HAI.


SHEIKH YOUSUF KASURI

1. JUMMA KO GUSAL ZAROOR KARE. HUZUR SAW NE FARMAYA” JIS SHAKHS NE JUMMA KO (PAAK HONE KE BAWJOOD SIRF SAWAAB KI NIYAT SE) GUSAL KIYA TO USKE AGLE PICHLE SAB GUNAH MAAF HO JATE HAIN”EK DUSRI HADEES ME HAIN KI ” JUMMA KA GUSAL BAALO KI JADON ME SE BHI GUNAHO KO BHI NIKAL PHEKTA HAI”

2. JUMMA KO KASRAT SE DUROOD PADHE. KYUNKI JUMMA KO FARISHTO KI EK JAMAAT SIRF ISI KAAM ME HOTI HAI KI HUZUR SAW PER PADHA JANE WALA DUROOD AAP KE PAAS PAHUCHATI HAI. SABSE AFZAL
DURROD IBRAHIM HAI.

3. JUMMA KO SALAAT-UT-TASBEEH KI NAMAZ BHI PADHE. HUZUR SAW NE FARMAYA KI ” YE NAMAZ JO PADHTA HAI USKE AGLE-PICHLE, CHOTE-BADE, JAAN BIJH KAR KIYE HUE AUR ANJANE ME KIYE HUE, SABEERA AUR KABEERA, SAB GUNAH MAAF HO JATE HAIN. ” AUR JUMMA KO SAB AMAL KA SAWAAB 70 GUNA BADH KAR MILTA HAI TO IS KI FAZEELAT AUR BADH JATI HAI.



JUMME KE DIN KI FAZEELAT KHUTBA

4. JUMMA KO ASR KI NAMAZ KE BAAD JO SHAKS YE DUROOD 80 PADHEGA ” ALLAHUMMA SALLI ALAA MUHAMMADIN NABIYIL UMMIYEE WA ALAA AALIHI WASALLIM TASLEEMA ” TO USKE 80 SAAL KE GUNAH MAAF HONGE AUR 80 SAAL KI IBADAT USKE AAMAAL-NAAME ME LIKHI JAEGI.

5. JUMA KO SURA KAHF PADHE, HUZUR SAW NE FARMAYA ” JO SHAKHS JUMA KO SURA KAHF PADHEGA TO AGLE HAFTE TAK USKE SAATH EK NOOR RAHEGA JO KAABE TAK PAHUCHTA HOGA AUR AGAR IS DAURAN DAJJAL NIKAL AAYA TO USKE FITNE SE MAHFOOZ RAHEGA ” EK DUSRI HADEES ME HAI KI “JO SHAKHS JUMA KO SURA KAHF PADHEGA TO AGLE HAFTE TAK KE USKE GUNAHO KA KAFFARA HO JAEGA” ALLAH HUM SAB KO TOFIQ DE AUR ZYADA SE ZYADA DEEN KI MEHNAT KARNE WALA BANAYE.

JUMMA KI NAMAZ KI AHMIYAT OR FAZEELAT OR KCH ZRURI AHKAAM JUMA KA HUKUM : JUMA KI NAMAZ HAR BAALIGH MUSALMAN PAR FARZ HAI.ALLAH TAALA QURAN ME IRSHAAD FARMA RAHA HAI K. ﻳَﺎ ﺃَﻳُّﻬَﺎ ﺍﻟَّﺬِﻳﻦَ ﺁﻣَﻨُﻮﺍ ﺇِﺫَﺍ ﻧُﻮﺩِﻱَ ﻟِﻠﺼَّﻠَﺎﺓِ ﻣِﻦ ﻳَﻮْﻡِ ﺍﻟْﺠُﻤُﻌَﺔِ ﻓَﺎﺳْﻌَﻮْﺍ ﺇِﻟَﻰٰ ﺫِﻛْﺮِ ﺍﻟﻠَّـﻪِ ﻭَﺫَﺭُﻭﺍ ﺍﻟْﺒَﻴْﻊَ ۚ ﺫَٰﻟِﻜُﻢْ ﺧَﻴْﺮٌ ﻟَّﻜُﻢْ ﺇِﻥ ﻛُﻨﺘُﻢْ ﺗَﻌْﻠَﻤُﻮﻥَ ﴿٩ ﴾ AYE IMAN WALO! JAB JUMA K ROZ NAMAZ KELIYE PUKAR HOTO TUM ALLAH K ZIKR KI TARAF LAPKO AUR APNA KAROBAAR (BUSINESS) CHORDO.(SURAH JUMA-09)

HAZRAT HAFSA RAZIALLAHU ANHA SE RIWAYAT HAI K NABI (PBUH) NE FARMAYA ” JUMA KI TARAF JAANA HAR BAALIGH MUSALMAN PAR FARZ HAI.” (SUNAN NISAYI) JUMA KIN LOGON PAR FARZ HAI : HAZRAT TAARIQ BIN SHAHAB RAZIALLAHU ANHU SE RIWAYAT HAI K NABI (PBUH) NE FARMAYA ” JUMA HAR BAALIGH MUSALMAN PAR FARZ HAI.MAGAR 4 ASHKHAAS PAR FARZ NAHI HAI.1.GHULAM – 2.AURAT – 3.BACCHA- AUR BIMAR. (ABU DAWOOD) AUR ISI TARHA DOSRI RIWAYAT HAZRAT IBN ABBAS RAZIALLAHU ANHU SE HAI K FARMAYA NABI(PBUH) NE “JIS SHAQS NE JUMA KI AZAAN SUNI AUR FIR BHI WO MASJID ME NAHI AAYA ISKI KOI NAMAZ NAHI ILLA YE K ISSE UZR HO.” SAHABA RAZIALLAHU ANHUM NE DARYAFT KIA “AYE ALLAH K RASOOL (PBUH) UZR KIA HAI?”FARMAYA”MARZ YA KHAUF”.(ABU DAWOOD) JUMA KI AZAAN : NABI(PBUH) HAZRAT ABUBAKR O UMAR RAZIALLAHU K ZAMANE TAK JUMA KI EK HI AZAAN HOTI THI AUR WO IS WAQT JABKE IMAM QUTBA KELIYE MEMBAR PAR AAKAR BAITH JAATE.HAZRAT OSMAN RAZIALLAHU ANHU K ZAMANE ME JAB MADINA MUNAWWARA KI AABADI BARH GAYI TO INHO NE EK AUR AZAAN KO RIWAAJ DIA.JO ZORA(MASJID K DARWAAZE K QAREEB EK BULAND JAGAH) PAR KAHI JAATI THI.(SAHIH BUKHARI-ABU DAWOOD-NISAAYI).

JUMA K ROZ KI FAZEELAT AUR WO KAAM JO IS ROZ MUSTAHAB HAIN : HAZRAT ABU HURAIRA RAZIAALLAHU ANHU SE RIWAYAT HAI K NABI(PBUH) NE FARMAYA”SUBSE ACCHA DIN JIS DIN SURAJ TULU HUA JUMA KA DIN HAI.IS ROZ AADAM ALAIHISSALAM KI PAIDAAYESH HUI ISI DIN JANNAT ME DAAKHIL KIYE GAYE AUR ISI DIN JANNAT SE NIKAALE GAYE.AUR QAYAMAT BHI JUMA K DIN HI AAYEGI.” (SAHIH MUSLIM-ABU DAWOOD-TIRMIZI-NISAAYI).

HAZRAT JABIR RAZIALLAHU ANHU SE MARWI HAI K NABI (PBUH) NE FARMAYA “JUMA K DIN 12 GHARIYAN HAIN JINME SE EK GHARI AISI HAI JINME KOI MUSALMAN BANDA SAWAL KARTA

https://muhammadilibrary50.blogspot.com/
DUA MEIN YAAD RAKHE
Next
Newer Post
Previous
This is the last post.

Post a Comment

Hold on, this is waiting to be approved by Sheikh Faraz Ur Rehman

 
Top